be-dili wo hai ki marne ki tamanna bhi nahin aur ji len kisi ummid pe aisa bhi nahin na koi sar ko hai sauda na koi sang se lag koi puchhe to kuchh aisa gham-e-duniya bhi nahin waqt wo hai ki jabin le ke karo dar ki talash ajab aashufta-sari hai ki tamasha bhi nahin apne aaine mein khud apni hi surat hui maskh magar is tute hue dil ka mudawa bhi nahin hu ka aalam hai koi nara-e-mastana-e-haq kya teri bazm-e-wafa mein koi itna bhi nahin lafz-o-mani mein nahin rabt magar hae umid is pe baithe hain ki wo talne wala bhi nahin be-khudi hae tamanna ki na thi fursat-e-wahm be-kasi hae tamasha ki koi tha bhi nahin phul ban kar jo mahakta tha kabhi dil ke qarib khar ban kar kabhi pahlu mein khatakta bhi nahin tum bhi kahlate ho daman-kash-e-duniya 'baqar' sach to ye hai tumhein jine ka saliqa bhi nahin