be-ghari ka apni ye izhaar kam kar dijiye sher mein zikr-e-dar-o-diwar kam kar dijiye apni tanhai mein itna bhi khalal achchha nahin aap apne aap se guftar kam kar dijiye dushmanon ki khud-ba-khud ho jaegi tadad kam yaron ki fihrist mein kuchh yar kam kar dijiye jab tawajjoh hi nahin maujudgi kis kaam ki is kahani mein mera kirdar kam kar dijiye sochiye ab itne chaaragar kahan se aaenge muskura kar apne kuchh bimar kam kar dijiye aap ki baaton mein aa kar jaan se to ja chuke ab to in mein zahr ki miqdar kam kar dijiye