be-jurm-o-be-gunah gharib-ul-watan kiya hum ko watan se shah gharib-ul-watan kiya ghurbat ki sham ulfat-e-gesu mein dekhiye us dil ne hum ko aah gharib-ul-watan kya us par na padti aankh na chhutta kabhi watan bas tu ne ai nigah gharib-ul-watan kiya dushman na yun ho dost ne jis tarah se hamein ba-haalat-e-tabah gharib-ul-watan kiya ai 'mehr' hum ko charkh ne gardish se roz-o-shab manind-e-mehr-o-mah gharib-ul-watan kiya