be-kasi mein asar yagana hai dil bhi us ka nahin begana hai gharaz aaina-dari-e-dil se tera jalwa tujhe dikhana hai misl-e-naqsh-e-qadam mein jab tain hun aankhen hain aur ye aastana hai yahi tar-e-nafas ki aamad-o-shud jama-e-tan ka tana-bana hai gale milna na go ki hath lage lek manzur dil milana hai nam anqa nishan tere ka jun nagin dil mein aashiyana hai dost dushman sabhi hue hain tere kya burai ka ab zamana hai dil-e-gum-gashta ko main dhundun kahan na kahin thor ne thikana hai hai diwana ba-kar-e-khud hoshyar ye na samho 'asar' diwana hai