be-khabar saeban abhi tak hai dhup mujh par yahan abhi tak hai mere hone ka kya yaqin use khud mujhe bhi guman abhi tak hai raaz to khul gaya zamane par aur wo raaz-dan abhi tak hai aaj bhi to wahi hai nahr-e-furaat kya wahi hukmaran abhi tak hai sab to sairab ho gae 'manzar' kyun ye ju-e-rawan abhi tak hai