be-khud aisa kiya khauf-e-shab-e-tanhai ne subah se shama jala di tere saudai ne hasb-e-mansha dil-e-pur-shauq ki baaton ka jawab de diya sharm mein dubi hui angdai ne hu ka aalam hua us samt ko udne lagi khak jis taraf ghaur se dekha tere saudai ne qatl par mere bahae na kisi ne aansu dad qatil ko di ek ek tamashai ne puchhne wale bhari bazm mein qatil ko na puchh nam tera hi agar le diya saudai ne mangta hun dar-o-diwar se baaton ka jawab aisa diwana kiya hai gham-e-tanhai ne hijr ki raaton mein 'manzar' mere kaam aa aa ke le liya mol charagh-e-shab-e-tanhai ne