be-KHudi mein bhi zaban par bas unhin ka nam tha

be-khudi mein bhi zaban par bas unhin ka nam tha
meri hasrat tak rahi thi main yunhi badnam tha

chand mere chand ke jalwe se fauran chhup gaya
mera dilbar shokh jab raunaq-faroz-e-baam tha

bais-e-shohrat hai duniya mein sukhan-dani meri
kar-farma shoala-rukh koi saman-andam tha

dil ki dhadkan phir nae sar se siwa hone lagi
naseho kuche mein un ke kuchh qadar aaram tha

wae-nakaami 'jalali' rote rote gum hua
yaad paiham aata hai garche bahut badnam tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close