be-khudi pe tha 'fani' kuchh na ikhtiyar apna umr bhar kiya nahaq hum ne intizar apna tab-e-zabt-e-gham ne bhi de diya jawab aakhir un ke dil se uthta hai aaj e'tibar apna ishq zindagi thahra lekin ab ye mushkil hai zindagi se hota hai ahd ustuwar apna shikwa barmala karte khair ye to kya karte han magar jo ban padta shikwa ek bar apna gham hi ji ka dushman tha gham se dur rahte the gham hi rah gaya aakhir ek gham-gusar apna le gaya chaman ko bhi mausam-e-bahaar aa kar ab qafas ka gosha hai hasil-e-bahaar apna jhut hi sahi wada kyun yaqin na kar lete baat dil-fareb un ki dil umid-war apna inqilab-e-alam mein warna der hi kya thi un ke aastan tak tha khair se ghubar apna dil hai muztarib 'fani' aankh mahw-e-hairat hai dil ne de diya shayad aankh ko qarar apna