be-lutf hai ye soch ki sauda nahin raha aankhen nahin rahin ki tamasha nahin raha duniya ko ras aa gain aatish-parastiyan pahle dimagh-e-lala-o-gul tha nahin raha fursat kahan ki soch ke kuchh gungunaiye koi kahin halak-e-tamanna nahin raha unchi imaraton ne to wahshat kharid li kuchh bach gai to gosha-e-sahra nahin raha dil mil gaya to wo utar aaya zamin par aahat mili qadam ki to rasta nahin raha girdab chikhta hai ki dariya udas hai dariya ye kah raha hai kinara nahin raha mitti se aag aag se gul gul se aaftab tera khayal shahpar-e-tanha nahin raha baatil ye e'tiraaz ki tujh se lipat gaya mujh ko nashe mein hosh kisi ka nahin raha ek bar yun hi dekh liya tha khiram-e-naz phir lab pe nam sarw o saman ka nahin raha