be-murawwat hain to wapas hi utha le shab-o-roz mujh ko bhate nahin ye tere nirale shab-o-roz ek ummid ka tara hai sar-e-baam abhi us ki kirnon se hi hum ne hain ujale shab-o-roz jo teri yaad ke sae mein guzare hum ne hain wahi zist ke anmol hawale shab-o-roz dasht se khak utha laya tha ajdad ki main ghar mein rakkhe to hue chand ke haale shab-o-roz dast-e-khunin na kabhi waqt uthae tujh par hukm lamhon pe chala dhaal bana le shab-o-roz apne din-raat se mumkin hai kahan koi farar dasht-e-wahshat mein utar aur saja le shab-o-roz