be-nala-o-fariyaad-o-fughan rah nahin sakte

be-nala-o-fariyaad-o-fughan rah nahin sakte
qahr is pe ye hai is ka sabab kah nahin sakte

maujen hain tabi'at mein magar uth nahin saktin
dariya hain mere dil mein magar bah nahin sakte

patwar shikasta hai nahin taqat-e-garmi
hai naw mein surakh magar kah nahin sakte

kah doge ki hai tajraba is baat ke bar-‘aks
kyunkar ye kahen zulm-o-sitam sah nahin sakte

'izzat kabhi wo thi ki bhulae se na bhule
tahqir ab aisi hai jise sah nahin sakte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close