be-qarari jo idhar hai wo udhar hai ki nahin

be-qarari jo idhar hai wo udhar hai ki nahin
ye nazar jaise hai be-kal wo nazar hai ki nahin

dil ki haalat ka bigadna to hai mamul magar
wo jo hain is ka sabab un ko khabar hai ki nahin

go nigahon se nigahen to mili hain aksar
rabt us dil ko kuchh is dil se magar hai ki nahin

ye shab-e-hijr meri jaan hi na le jae kahin
na sahi wasl muqaddar mein sahar hai ki nahin

kyon meri ruh ko har pal ye guman rahta hai
jis makan mein hai makin us ka hi ghar hai ki nahin

dost chhod aaenge be-shak mujhe shamshan talak
us ke aage nahin malum safar hai ki nahin

'arifo kya hai majaz aur haqiqat kya hai
wo jo aata hai nigahon ko nazar hai ki nahin

padh ke diwan-e-'sada' bolo zara naqqado
sher kahne ka kuchh us mein bhi hunar hai ki nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close