be-rozgar hi sahi khuddar main bhi hun apni rah-e-hayat mein diwar main bhi hun do chaar sal aur hai na-qadri-e-sukhan murda-parast shahar ka fankar main bhi hun tashkik dil mein sar mein junun lab pe galiyan kya ruh-e-asr ki tarah bimar main bhi hun shahar-e-munafiqat mein basar kar raha hun main lagta hai apne ahd ka autar main bhi hun