be-sabab hi kabhi aawaz lagao to sahi

be-sabab hi kabhi aawaz lagao to sahi
apne hone ka kuchh ehsas dilao to sahi

sans leta hua har rang nazar aaega
tum kisi roz mere rang mein aao to sahi

taki phir raat ki taswir utari jae
in charaghon ko zara der bujhao to sahi

hausla hai to jazira bhi tumhaara hoga
khauf ki kashtiyan sahil pe jalao to sahi

zindagi jism se bahar bhi nazar aae kabhi
koi hangama sar-e-rah uthao to sahi

meri mitti mein mohabbat hi mohabbat hai 'nabil'
chhu ke dekho to sahi hath lagao to sahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close