be-samjhe-bujhe mohabbat ki ek kafir ne iman liya ab aath aath aansu rote hain kyun dil ka kahna man liya hum fikr mein the chhup kar dekhen un jalwon ne pahchan liya jab tak ye nazar utthe utthe zalim ne parda tan liya kyun husn-e-garan-maya ye kya tere jalwe itne arzan ek ek khuda apna apna jis ne jise chaha man liya jis par sadqe donon aalam us ashk ki qimat kya kahiye palkon par apni tol chuke daman mein kisi ke chhan liya ye koh-e-giran hilte hain kahin aur phir mazbut iradon ke patthar ki lakir hai ai naseh jo hum ne dil mein than liya jalwa ki fareb-e-jalwa tha jo ho taswir mukammal thi ek shor utha har jaanib se pahchan liya pahchan liya mujh se to kisi se bair na tha duniya mere khun ki pyasi hai maqtal ki taraf se jo guzra ek hath lahu mein san liya honton pe banawat ki wo hansi fariyaad ka aalam sanson mein zalim ki mohabbat chhup na saki jis ne dekha pahchan liya barson uljhe arbab-e-khirad ye ek girah ab tak na khuli sar aap hi jhuk gae sajde mein ghabra ke khuda ko man liya marna ho 'siraj' ki jina ho be-minnat-e-ghair ho jo kuchh ho kya rah gai khanjar-e-qatil ka gardan pe agar ehsan liya