be-tarah in mein ulajh jaega nadani na kar waqiat-e-umr-e-rafta par nazar sani na kar dil pe jo guzri hai us par ashk-afshani na kar zindagi ki anjuman mein marsiya-khwani na kar kya zaruri hai ki ye dukh bantne wale bhi hon milne walon se kabhi zikr-e-pareshani na kar aarzuon ko na rakh har chiz se badh kar aziz tez tar kante hain ye un ki nigahbani na kar waqt ke bigde hue atwar ka andaz dekh zindagi mein har-qadam par apni man-mani na kar kashti-o-tufan ke ek naz se rishte ko samajh halqa-e-tufan mein rah kar apni man-mani na kar 'arsh' is mein talkhi-e-gham ke siwa kuchh bhi nahin tu kitab-e-zindagi ki safha-gardani na kar