be-wajh ye hangam-e-bahaaran to nahin hai kuchh sazish-e-arbab-e-gulistan to nahin hai ai josh-e-junun khol ke aankhen to zara dekh hathon mein kahin un ka gareban to nahin hai hone ko hai ye nazm-e-jahan darham-o-barham aansu koi larzan sar-e-mizhgan to nahin hai hone ko mujahid bhi hain jaanbaz bhi lekin wo hausla-e-buzar-o-salman to nahin hai rah rah ke nazar su-e-falak uthti hai 'zamzam' wo mujh pe kahin aaj mehrban to nahin hai