be-waqt jo ghar se wo masiha nikal aaya ghabra ke mere munh se kaleja nikal aaya madfun hua zer-e-zamin kya koi wahshi kyun khak se ghabra ke bagula nikal aaya aaine mein munh dekh ke maghrur hue aap do shaklon se kaisa ye natija nikal aaya zakhmi jo kiya tum ne khule ishq ke asrar jo kuchh ki mere dil mein nihan tha nikal aaya thukrane lage dil ko to barpa hue tufan qatra jo hatane lage dariya nikal aaya ab ruk nahin sakti hai 'munir' aah-e-jigar-soz dam ghutne laga munh se kaleja nikal aaya