be-zabanon ki kahani ki zaban hote rahe hum to yaro barha ashk-e-rawan hote rahe dil pe chahe jitne khanjar ho lage ai jaan-e-jaan us gali mein hum sarasar raegan hote rahe jam aisa dal saqi zahr sa ab pis kar aaj us ko dekh sab jalwe ayan hote rahe jaan maqtal par luta di be-sabab 'khuddar' ne jurm us ke lan-tarani se bayan hote rahe is nagar mein be-asar baada-kashi 'khuddar' ki wo na jaane kin ghamon mein na-tawan hote rahe