bedad ke khugar the fariyaad to kya karte karte to hum apna hi kuchh tum se gila karte taqdir-e-mohabbat thi mar mar ke jiye jaana jina hi muqaddar tha hum mar ke bhi kya karte mohlat na mili gham se itni bhi ki haal apna hum aap kaha karte aur aap suna karte nadim use chaha tha jaan us pe fida kar ke tadbir to achchhi thi taqdir ko kya karte ahbab se kya kahiye itna na hua 'fani' jab zikr mera aata marne ki dua karte