beganagi ke baam se pal-bhar utar ke dekh

beganagi ke baam se pal-bhar utar ke dekh
main kaun hun mujhe bhi zara aankh bhar ke dekh

kyun bad-guman hai khalq-e-khuda teri zat se
logon mein baith aur zara baat kar ke dekh

aisi kiran ki jod sake rishta-e-badan
in zulmaton mein fasle qalb-o-nazar ke dekh

dasht-e-bala mein kitne bagule hain ghat mein
main to guzar chuka zara tu bhi guzar ke dekh

eazaz-e-khusrawi se na meri wafa ko nap
fursat mile kabhi to mere zakhm sar ke dekh

kis zahr ke asar se ulajhti hai meri sans
dam bhar dhuan dhuan si faza mein thahar ke dekh

'shahin' wo ganw phir teri qismat mein ho na ho
behtar hai khwab ujde hue baam-o-dar ke dekh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close