bewafa gar hai wo tajdid-e-wafa ho kaise dard hi dil ki dawa ho to dawa ho kaise wo kabhi 'mir' hai likhta kabhi khud ko 'ghaalib' harf aa jaega tanqid rawa ho kaise jalwa-gar har-su farozan jo darakhshan mujh mein ho na gar dur nigahon se khuda ho kaise ishq kab khel tamasha hai ye koi dil ka qarz hai sar pe mere koi ada ho kaise main ki ek banda-e-khati hun khada hun dar par lafz majbur hain sab hamd-o-sana ho kaise main hun ya tum hamein jina hai kisi ki khatir ruh ka jism se rishta hai juda ho kaise ab to bas ye hai ki ho jaen fana hum donon kya karen umr ye ab sarf-e-dua ho kaise sirf patthar hi nahin ho bhi lahu kuchh dil mein sar patakne se koi rang-e-hina ho kaise