bewafa tha phir bhi duniya uski shaidai hui

bewafa tha phir bhi duniya us ki shaidai hui
gham to ye hai bas mere hisse mein tanhai hui

roz-e-mahshar jis ghadi aaya jo nama hath mein
hae kaisi us bhari mahfil mein ruswai hui

mubtala-e-zoam-e-shohrat hasrat-e-nam-o-numud
ho gaya insan kaisa salb binai hui

munkir-e-insan ko duniya samajhti hai haqir
aajizi ki is jahan mein kab pazirai hui

badliyon ki ot mein yun chhup gaya mah-e-tamam
jaise dulhan chehra dhak baithi ho sharmai hui

meri har ek baat ka bas ek matlab hai 'ana'
jis ke matlab chaar hon aisi na goyai hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close