bhai kamal kar diya diwar khinch kar pahle ye kaam hota tha talwar khinch kar itna jhuka diya hai tere hijr ne mujhe bachcha bhi sar se le gaya dastar khinch kar kirdar bhi dikhata agar shakl ki tarah de marte zamin pe mujhe yar khinch kar ye kaenat mere takhayyul se chhoti hai dekha hai is ko main ne kai bar khinch kar naukar nahin samajhta zaban ko main kan ka padhta nahin hun is liye ashaar khinch kar