bhali ho ya ki buri har nazar samajhta hai har ek shakhs ki aahat ko ghar samajhta hai har ek dar ko wo apna hi dar samajhta hai magar zamana use dar-ba-dar samajhta hai phal aur shakh samajhne mein chuk jaen magar hai kis jagah ka parinda shajar samajhta hai kuchh is tarah se dikhata hai wo hunar apna ki jaise sab ko yahan be-hunar samajhta hai