bhali lagti hai aisi be-baha shai qadr-danon par

bhali lagti hai aisi be-baha shai qadr-danon par
jawani muft mein barbaad hoti hai jawanon par

falak to bijliyon ki tarbiyat kar hi nahin pata
zamin-zade bhi patthar phenkte hain aashiyanon par

jahan hum hain wahan hona na hona khush-gumani hai
khuda ki rahmaten nazil hon hum se khush-gumanon par

dukanen phail kar diwar ban jati hain raste mein
lagi rahti hain lekin raunaqen kya kya dukanon par

sawa neze pe suraj aa bhi jae hum na bolenge
qayamat be-sabab hi tutti hai khasta-jaanon par

zaban ko kat dete hain ki dil ka haal kahti hai
ye kaisa waqt nazuk aa pada hai tarjumanon par

kuhistani muhim ho ya masafat dasht-o-sahra ki
pahunch jate hain sare raste apne thikanon par

utarte hi bala jin mein ulajh kar be-aman hogi
laga rakkhi hain aisi sangiyan hum ne machanon par

ye kya 'shahin' har surat mujassam ho ke rah jae
kabhi to aag barse sal-dida sard-khanon par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close