bhare hue jam par surahi ka sar jhuka to bura lagega jise teri aarzu nahin tu use mila to bura lagega ye aisa rasta hai jis pe har koi barha ladkhada raha hai main pahli thokar ke baad hi gar sambhal gaya to bura lagega main khush hun us ke nikalne par aur itna aage nikal chuka hun ke ab achanak se us ne wapas bula liya to bura lagega ye aakhiri kanpkanpata jumla ki is talluq ko khatm kar do bade jatan se kaha hai us ne nahin kiya to bura lagega na jaane kitne ghamon ko pine ke baad tabish chadhi udasi kisi ne aise mein aa ke hum ko hansa diya to bura lagega