bhare jahan mein koi raazdar bhi na mila

bhare jahan mein koi raazdar bhi na mila
qarar dhundne nikle qarar bhi na mila

ye meri sokhta-bakhti nahin to phir kya hai
wo phul lae to mera mazar bhi na mila

na jaane kaisi karamat thi dast-e-saqi mein
ba-qaid-e-hosh koi hoshiyar bhi na mila

chaman chaman mein udasi ka bol-baala hai
bahaar kaisi nishan-e-bahaar bhi na mila

bahut the aish ke lamhon mein jaan-nisar apne
pada jo waqt koi gham-gusar bhi na mila

main apne ganw mein rah kar bhi ajnabi hi raha
mujhe to apnon se thoda sa pyar bhi na mila

kharab hi rahi qismat khizan-nasibon ki
bahaar aai to lutf-e-bahaar bhi na mila

hansi to apna muqaddar na thi magar 'kausar'
hamein to rone pe kuchh ikhtiyar bhi na mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close