bharosa phulon ka kanTon ka eatibar nahin

bharosa phulon ka kanton ka eatibar nahin
tayyunat ke khake hain ye bahaar nahin

main kaise aap ke wade ka eatibar karun
huzur jab mujhe khud apna eatibar nahin

mere shuur-e-mohabbat ki jis se zillat ho
khuda ke fazl se aisa mera shiar nahin

wo but-kada ho ki kaba ho ya ki mai-khana
kisi jagah bhi mohabbat se mujh ko aar nahin

uthani padti hai zillat qadam qadam pe use
jahan mein jis ka sadaqat agar shiar nahin

wo phul khar hai jo gir gaya nazar se teri
wo khar gul hai jo nazron mein teri khar nahin

kisi ki saqi ke qadmon pe hai jabin-e-niyaz
kisi ko saqi pe khud apne eatibar nahin

tu apni aankhon se saqi pila ke be-khud kar
piyun main jam se aisa to baada-khwar nahin

gunahgaron pe hai jab ki rahmaton ka nuzul
kahun main kaise phir 'akmal' gunahgar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close