bhatak gaya ki manzilon ka wo suragh pa gaya hamare waste khala mein rasta bana gaya surahi dil ki aansuon ki os se bhari rahi isi liye azab-e-hijr us ko ras aa gaya sarab ka tilism tutna bahut bura hua ki aaj tishnagi ka e'tibar bhi chala gaya tamam umr khwab dekhne mein munhamik raha aur is tarah haqiqaton ko wahima bana gaya