bhatak rahi hai andhere mein zindagi to nahin wo jis ko dhund raha hun kahin wahi to nahin dikhai deta hai ab bhi dhuan dhuan har su lagi thi aag jo ghar mein abhi bujhi to nahin bhatak rahi hai jo karb-o-alam ke sahra mein use pukar ke dekho wo zindagi to nahin wo lash dekh ke dushman ki ro diya aakhir hazar kuchh ho ye insaniyat mari to nahin nahin hai daulat-e-duniya to gham nahin 'faruq' mata-e-dard ka hum se koi dhani to nahin