bhed kuchh khulta nahin diwar-o-dar mein kaun hai ghar se be-ghar ho gaya hun mere ghar mein kaun hai sab ke sab pagal nazar aate hain mujh ko shahr mein mere jaisa aur pagal shahr-bhar mein kaun hai haq-ba-jaanib kaun hai ab aap hi batlaiye main nahin batlaunga meri nazar mein kaun hai dil ke malbe mein pada hai aur chillata nahin dubta hai aur chup hai chashm-e-tar mein kaun hai kaun apna ghar uthae phir raha hai dar-ba-dar ghar mein baitha hai magar har-dam safar mein kaun hai sochta rahta hun 'alwi' par samajh pata nahin main nahin to is bala ke shor-o-shar mein kaun hai