bhigo gai gul-e-ehsas aaj shabnam phir

bhigo gai gul-e-ehsas aaj shabnam phir
badan ke gird lipatne laga hai resham phir

ye kis khayal ke kundan se saj gaya tan-man
bhare hain kasa-e-hasti mein kis ne nilam phir

bahaar bunden ghata khush-gawar purwai
mere singar ke kya aa gae hain mausam phir

bata rahi hain ye sargoshiyan samundar kei
ki khushk ret se dariya ka hoga sangam phir

kai charagh jo ye jal uthe hain aankhon mein
suno judai unhen kar na pae maddham phir

teri judai ke sadme se yun hue mohtat
na is ke baad hui phir ye aankh pur-nam phir

'alina' ek dafa ek aag mein tapa tha badan
tamam umr hui wo na aanch kam kam phir


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close