bhuki hai zamin bhuk ugalti hi rahegi ye bhuk mere pet mein palti hi rahegi jiwan bhi mera dasht hai maskan bhi mera dasht honton pe mere pyas machalti hi rahegi dil mein nahin ab pas raha chain sukun ka ek aag si dil mein hai ubalti hi rahegi hasti ke ujadne ka bhala dukh mujhe kyun ho ye thokaren kha kha ke sambhalti hi rahegi chehre nae andaz nae taur nae hain duniya hai ye sau rang badalti hi rahegi mazkur karen kya dil-e-majbur ka 'naqid' ek huk hai sine se nikalti hi rahegi