bhul jaunga pyar mazi ka tha jo dar-o-madar mazi ka zehn par hai sawar mazi ka tazkira bar bar mazi ka be-qarar ab hun haal mein filhaal khub hi tha qarar mazi ka tod kar jod kar bhi dekha hai sakht hai par hisar mazi ka mujhe rah rah ke yaad aata hai wahi mausam bahaar mazi ka us ke hathon se bikhre to socha yar behtar tha yar mazi ka lakh ranjish sahi magar 'kashif' us pe hai e'tibar mazi ka