bhulaun lakh main aata hai lekin yaad rah rah kar

bhulaun lakh main aata hai lekin yaad rah rah kar
wo aana mausam-e-gul ka wo jaana mera gulshan se

nashat-o-aish hasil tha chaman ke rahne wale the
ye kya malum tha nisbat qafas ko bhi hai gulshan se

azab-e-jaan qafas ki tangiyan phir us pe ye turra
hawaon par hawaen aa rahi hain sehn-e-gulshan se

yahi to hasil-e-hasti hai tum par mitne wale ka
juda kyun khak-e-daman-gir ko karte ho daman se

wahi 'arshad' tumhaara hun jise kandhon pe lae the
guzarne walo bach bach kar na niklo mere madfan se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close