bhule-bisre hue gham yaad bahut karta hai mere andar koi fariyaad bahut karta hai roz aata hai jagata hai daraata hai mujhe tang mujh ko mera ham-zad bahut karta hai mujh se kahta hai ki kuchh apni khabar le baba dekh tu waqt ko barbaad bahut karta hai nikli jati hai mere panw ke niche se zamin aasman bhi sitam ijad bahut karta hai kuchh to hum sabr o raza bhul gae hain shayad aur kuchh zulm bhi sayyaad bahut karta hai us ke jaisa to koi chahne wala hi nahin kar ke paband jo aazad bahut karta hai bastiyon mein wo kabhi khak uda deta hai kabhi sahraon ko aabaad bahut karta hai gham ke rishton ko kabhi tod na dena 'wali' gham khayal-e-dil-e-na-shad bahut karta hai