bigadne se tumhaare kya kahun main kya bigadta hai kaleja munh ko aa jata hai dil aisa bigadta hai shab-e-gham mein pade tanha tasalli dil ki karte hain yahi aalam ka naqsha hai sada banta bigadta hai wo yaad aata hai aalam wasl ki shab ka wo aaraish wo kahna chhu na is dam zulf ka halqa bigadta hai hamare uth ke jaane mein teri kya baat banti hai hamare yan ke rahne mein tera kya kya bigadta hai wo kuchh ho jaana ranjish us pari se baaton baaton mein wo kahna pher kar munh ye to kuchh achchha bigadta hai jo baad-az-umr khat likhkha to ye taqdir ka likhkha ibarat gar kahin banti hai to mana bigadta hai agar khamosh rahta hun to ji par mere banti hai agar kuchh munh se kahta hun to wo kaisa bigadta hai sifarish par bigad kar hae wo us shokh ka kahna mana leta use main par mera shewa bigadta hai 'nizam' us ki inayat hai to phir kis baat ka gham hai banata hai wo jis ka kaam kab us ka bigadta hai