bigadta zakhm-e-hunar aashkara karna pada hamein bhi dad ka marham gawara karna pada bahut hawas thi mujhe rizq-e-sher ki lekin jo mil raha tha usi par guzara karna pada khadi thi mere liye aansuon ki barish mein so teri yaad se milna gawara karna pada main is se kam pe zamana murid kar leta khayal-e-ishq mein jitna tumhaara karna pada mila na ek bhi aansu durun-e-chashm mujhe so munh chhupa ke dukhon se kinara karna pada jo khwab nind se bhi chhup ke dekhta tha main kisi ki aankh se us ka nazara karna pada nigah-e-yar ne kuchh aise aib dhundh liye tamam kar-e-mohabbat dobara karna pada ab us safar ki saubat ka kya kahen jis mein qadam qadam pe hamein istikhara karna pada sambhaali jati nahin raushni zamin se 'kabir' supurd-e-khak ye kaisa sitara karna pada