bijli kadki to main dar sa gaya sar se ek aasman guzar sa gaya baat ghairat pe aa gai thi aaj aaj kuchh der main to mar sa gaya yaad hai ek ek mahrumi mujh mein bachpan kahin thahar sa gaya zulm masum par kiya kis ne ek nanha badan thithur sa gaya husn jannat se utra ho jaise dur hi se mujhe wo tarsa gaya baat kuchh us ne aisi kah di aaj dil mein khanjar mere utar sa gaya us ki khushbu ne kar diya jadu ghar mera 'soz' aaj bhar sa gaya