bikhar na ja kahin khud ko meri panah mein rakh hain tund-o-tez jo dariya meri nigah mein rakh jhuke na sar ye kisi aastan pe tere siwa to wo ghurur-o-ana apne kaj-kulah mein rakh ye kab kaha ki mohabbat se baz rah lekin palat ke aa bhi sake rasta nigah mein rakh fareb-e-nafs se mahfuz to ho zat meri kahin to khauf koi lazzat-e-gunah mein rakh rahega baz kahan dil bhala mohabbat se par ek harf-e-tasalli to intibah mein rakh muqabla to alag baat hai hawaon se jala ke ek diya koi pahle rah mein rakh asir hun na kahin dam-e-hirs-o-duniya ka hamara shauq-e-talab apni bargah mein rakh chhupe hain karb hazaron is ek tabassum mein gulon ki chah jo kar khar bhi nigah mein rakh abhi khabar hi kahan tujh ko soz-e-dil kya hai to qahqahon ko abhi ruh ki karah mein rakh yahi ujale kabhi chhin lenge binai zara sa shauq andheron ka bhi nigah mein rakh