bikhre jo khalaon mein ye chand sitare hain kuchh khwab tumhaare hain kuchh khwab hamare hain kya khun rulate hain tanhai ke aalam mein wo lamhe mohabbat ke jo sath guzare hain mumkin hai zamane ko phir un ki zarurat ho ye amn-o-mohabbat ke anmol nazare hain yarab meri kashti ka ab tu hi muhafiz hai tufan muqabil hai aur dur kinare hain ye jhuti siyasat aur matlab ke numainde kahte hain badho aage hum sath tumhaare hain be-qadr zamane ko ehsas nahin aakhir moti ki tarah 'rahbar' ye ashk hamare hain