bikhre pade the hum hamein yakja na kar saka kaisa khuda tha koi karishma na kar saka tuta tha ek khwab ladakpan mein us ke baad ta-umr main koi bhi tamanna na kar saka ai aasman tuf hai teri wusaton pe tuf ek khitta is zamin pe saya na kar saka tu bhi to mere rang mein aaya na umr bhar main bhi to apne aap ko tujh sa na kar saka wo kaam aaj qashqa lagane se ho gaya maulana sahab ka jo amama na kar saka diwan-e-'mir'-o-'jaun' ne jo kaam kar diya duniya ka koi sa bhi sahifa na kar saka