bimar hain go ishq mein to kya kare koi

bimar hain go ishq mein to kya kare koi
dil ke mariz ko yun na kosa kare koi

zar ko jahan mein le ke chukate hain jaise sab
ehsan ko bhi aise chukaya kare koi

daulat zaruri jaise samajhte hain sab yahan
rishte zaruri waise hi samjha kare koi

duniya mein gham ke bojh tale dab gaya hun main
jine ki ek wajah bataya kare koi

manzil talashne mein ye jiwan guzar raha
himmat yahan pe meri badhaya kare koi

nakaamiyon ki tirgi mein kho gaya hun main
ab raushni safar mein dikhaya kare koi

gar mil gae khuda to karun un se arz main
gham aur dard se na sataya kare koi

ikhlas mein badan ki jagah ruh ko mila
lab ki jagah jabin pe to bosa kare koi

is hijr mein talab meri pahle se badh gai
ab wasl ke fasane sunaya kare koi

ek arse se hansa nahin gham ke sabab se main
dair-o-haram mein us ko bataya kare koi

walid khafa hain naukri main kar nahin raha
apne sukhan ko kaise khasara kare koi

har koi bhagta hai guhar ki talash mein
'katib' ke jaise nam kamaya kare koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close