bimar hain to ab dam-e-isa kahan se aae is dil mein dard-e-shauq-o-tamanna kahan se aae bekar sharh-e-lafz-o-maani se faeda jab tu nahin to shahr mein tujh sa kahan se aae har chashm sang-e-kizb-o-adawat se surkh hai ab aadmi ko zindagi karna kahan se aae wahshat hawas ki chat gai khak-e-jism ko be-dar gharon mein shakl ka saya kahan se aae jad se ukhad gae to badalti ruton se kya be-ab aainon mein sarapa kahan se aae sayon pe e'timad se ukta gaya hai ji tufan mein zindagi ka bharosa kahan se aae gham ke thapede le gae nagan se lambe baal raaton mein jangalon ka wo saya kahan se aae 'nahid' faishanon ne chhupae hain aib bhi chashme na hon to aankh ka parda kahan se aae