bin tere zindagi hogi na basar lagta hai tujh se ek pal bhi bichhad jaun to dar lagta hai tum jo rahte ho mere sath to ye khasta makan tuta phuta hua jaisa bhi hai ghar lagta hai ye kabhi ashraf-e-makhluq hua karta tha ab to ye aadmi kahne ko bashar lagta hai ye jo aangan hai ye bazar tak aa pahuncha hai ab mera ghar bhi to ek rahguzar lagta hai jis ki buniyaad mein ikhlas-o-mohabbat ho rawan phir usi ped pe khushiyon ka samar lagta hai meri har baat pe tum ko jo yaqin hai 'sahil' is qadar sada-mizaji se bhi dar lagta hai