bisat-e-ijz mein tha ek dil yak qatra khun wo bhi so rahta hai ba-andaz-e-chakidan sar-nigun wo bhi rahe us shokh se aazurda hum chande takalluf se takalluf bartaraf tha ek andaz-e-junun wo bhi khayal-e-marg kab taskin dil-e-azurda ko bakhshe mere dam-e-tamanna mein hai ek said-e-zabun wo bhi na karta kash nala mujh ko kya malum tha hamdam ki hoga bais-e-afzaish-e-dard-e-darun wo bhi na itna burrish-e-tegh-e-jafa par naz farmao mere dariya-e-be-tabi mein hai ek mauj-e-khun wo bhi mai-e-ishrat ki khwahish saqi-e-gardun se kya kije liye baitha hai ek do chaar jam-e-wazh-gun wo bhi mere dil mein hai 'ghaalib' shauq-e-wasl o shikwa-e-hijran khuda wo din kare jo us se main ye bhi kahun wo bhi mujhe malum hai jo tu ne mere haq mein socha hai kahin ho jae jald ai gardish-e-gardun-e-dun wo bhi nazar rahat pe meri kar na wada shab ke aane ka ki meri khwab-bandi ke liye hoga fusun wo bhi