bisat-e-shauq ke manzar badalte rahte hain hawa ke rang barabar badalte rahte hain butan-e-rang bhi kuchh kam nahin hayulon se qadam qadam pe ye paikar badalte rahte hain chhupae chhupti nahin un se kohnagi dil ki nae libas wo har-dam badalte rahte hain rahi nahin kabhi yak-rang aasman ki jabin huruf-e-lauh-e-muqaddar badalte rahte hain qayam karta nahin dil mein chaar din koi makin khana-e-be-dar badalte rahte hain bahut naya tha jo kal ab wahi purana hai mazar-e-dahr ke patthar badalte rahte hain