bisat-e-waqt pe sadiyon ke fasle hum log

bisat-e-waqt pe sadiyon ke fasle hum log
kanar-e-sham-o-sahar mein kahan dhale hum log

na karwan na musafir magar jaras na thami
na raushni na hararat magar jale hum log

maqam jin ka muarrikh ke hafize mein nahin
shikast o fath ke mabain marhale hum log

numud-e-jism ki shorida khwahishen duniya
fishaar-e-ruh ke nadida walwale hum log

na jaane kab koi karwat hamein jaga dale
zamin ke batn mein khwabida zalzale hum log

fasad-e-koh-kani hila-ha-e-parwezi
hazar rang ke kanton mein aable hum log

amir-e-shahr ki moti samajh mein kya aate
zamir-e-dahr ke nazuk muamle hum log

hujum-e-sang-e-aziyyat mein sar jhukae hue
rawan hain le ke mashiyyat ke qafile hum log

zaban-burida o be-dast-o-pa sahi lekin
zamir-e-kaun-o-makan hain bure bhale hum log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close