bisat-e-zat pathrai to jaana khabar akhbar mein aai to jaana safar aasan nahin hai paniyon ka jo talwe aa gai kai to jaana lahu kya chiz hai izhaar kya hai ghazal kuchh aur bal khai to jaana to wo bhi jhut-chehra ji raha tha jo us ki aankh bhar aai to jaana wirasat sari apne nam kar li magar us ne mujhe bhai to jaana gharaunde mein bhi ek aatish-kada tha hamari jaan pe ban aai to jaana thi 'mohsin' ye bhi jins-e-na-mubarak hui shohrat ki ruswai to jaana